Tuesday, September 8, 2020

Move on karna kisi ko bhoolna nhi hota.

Move on karna kisi ko bhoolna nhi hota.

"Move on karna kisi ko bhulna nahi hota"

Agar aap kisi ko bhulne ki koshish karte hai.

Or khud se shikayet krte hai roz, ki usey bhoolu kaise?

To shayed aap galat ho. Meine aaj bhi shabhal kar rakha hai us shags ko jo mil gyi thi kabhi ek mod pe chota sa safar tha hazaro kahaniya thi jo kabhi puri na hoyi. 

Mein to bas ek rasta tha safar ka, uski mazil to kahi or thi.

Itna asaan nhi hota kisi ko bhula dena wo Yaadein kahi nhi jaati jo ek baar ban jati h.

Ha agar usse khoobsurat kuch huyi to Purani Yaadein dhundli zaroor ho jati hai, phir dil itna pareshan nahi hota. phir dheere dheere shayed  wo samajhne lagta hai ki ye raaste bass yehi tak the manzile abhi or aygi, kabhi kabhi jab yaad aati hai uski to muskuraaa deta hu mein bhoolne ki koshish nahi karta bilkul nahi, aansu beh jaate hai kabhi phir moj mein gungunane lagte hai, Shayed  yehi Zindagi hai shayed yehi Move on hai,

aap kisi ko bhula nahi sakte

Jab tak kuch or achi Yaadein nahi ban jaate kahi nahi jaane waali wo purani Yaadein,

Move on ka matlab aap bhi badal do mere dost, dard ke sath jeena sikh lo jaisa bhi ho muskurana seekh lo quki shayed yehi Zindagi hai, shayed yehi Move on hai.


Swayampuja | blogs | Written by Dazzling

(Thank you)

2 comments:

  Mot kaa bhee ilaaj ho shaayad, jindagi ka koi ilaaj nahi ❤️‍🩹 Swayampuja blogs